ek maKHsus daera rakhna
ek maḳhsūs dā.era rakhnā
qurbatoñ meñ bhī fāsla rakhnā
dost to dost dushmanoñ se bhī
milne-julne kā silsila rakhnā
saḳht se saḳht mushkiloñ meñ bhī
aage baḌhne kā hausla rakhnā
aks-e-chehra dikhā.ī detā hai
apne hāthoñ meñ ā.īna rakhnā
rañj ho yā ḳhushī kā mauqa ho
baat meñ baat kā maza rakhnā
ab to aadat sī ho ga.ī 'saifī'
pesh-dar-pesh marhala rakhnā
ek maKHsus daera rakhna
qurbaton mein bhi fasla rakhna
dost to dost dushmanon se bhi
milne-julne ka silsila rakhna
saKHt se saKHt mushkilon mein bhi
aage baDhne ka hausla rakhna
aks-e-chehra dikhai deta hai
apne hathon mein aaina rakhna
ranj ho ya KHushi ka mauqa ho
baat mein baat ka maza rakhna
ab to aadat si ho gai 'saifi'
pesh-dar-pesh marhala rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.