ek manzar hai be-karani ka
ek manzar hai be-karānī kā
kaise DhūñDeñ ufuq kahānī kā
kashtiyāñ gum thiiñ sab kināroñ par
ik nasha thā ajab ravānī kā
jaane kab se bulā rahā hai mujhe
ik samundar udaas paanī kā
sab parinde uḌaan bhar aa.e
ab hai ehsās rā.egānī kā
phuul sā ye kahīñ bikhar na jaa.e
ek lamha tirī nishānī kā
hañs ke ik lafz kah gayā 'ajmal'
mujh pe daftar khulā ma.ānī kā
ek manzar hai be-karani ka
kaise DhunDen ufuq kahani ka
kashtiyan gum thin sab kinaron par
ek nasha tha ajab rawani ka
jaane kab se bula raha hai mujhe
ek samundar udas pani ka
sab parinde uDan bhar aae
ab hai ehsas raegani ka
phul sa ye kahin bikhar na jae
ek lamha teri nishani ka
hans ke ek lafz kah gaya 'ajmal'
mujh pe daftar khula maani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.