ek markaz pe mera zauq-e-tamasha na raha
ek markaz pe mirā zauq-e-tamāshā na rahā
abhī parda na rahā thā abhī jalva na rahā
jo dikhā.e mirī ġhaflat ne dikhā.e manzar
jab khulī aañkh to phir koī tamāshā na rahā
haa.e ye josh-e-vafā zauq-e-vafā kaif-e-vafā
is tarah un kā huā maiñ ki ḳhud apnā na rahā
yuuñ to kahne ko ba-zāhir jo mirī hālat ho
dil kī duniyā kā haqīqat meñ vo naqshā na rahā
kuchh nigāh-e-karam-āmez ne rokā dil ko
kuchh mujhe hausla-e-arz-e-tamannā na rahā
kyoñ hai duniyā ko mirī fikr jo un ke ġham meñ
ġham kī duniyā na rahī yā ġham-e-duniyā na rahā
mahv thī aañkh tire jalva-e-rangīñ meñ magar
nigah-e-dil ko ye parda bhī gavārā na rahā
ab isī jalva-e-be-jalva kī hai dil ko talāsh
kabhī pinhāñ na rahā jo kabhī paidā na rahā
ai ḳhudā in ke liye aur zamīñ paidā kar
ye jahāñ qābil-e-arbāb-e-tamanna na rahā
ruuh ko ġharq kiyā dil ko Duboyā 'bāsit'
ek ruḳh par kabhī sailāb-e-tamannā na rahā
ek markaz pe mera zauq-e-tamasha na raha
abhi parda na raha tha abhi jalwa na raha
jo dikhae meri ghaflat ne dikhae manzar
jab khuli aankh to phir koi tamasha na raha
hae ye josh-e-wafa zauq-e-wafa kaif-e-wafa
is tarah un ka hua main ki KHud apna na raha
yun to kahne ko ba-zahir jo meri haalat ho
dil ki duniya ka haqiqat mein wo naqsha na raha
kuchh nigah-e-karam-amez ne roka dil ko
kuchh mujhe hausla-e-arz-e-tamanna na raha
kyon hai duniya ko meri fikr jo un ke gham mein
gham ki duniya na rahi ya gham-e-duniya na raha
mahw thi aankh tere jalwa-e-rangin mein magar
nigah-e-dil ko ye parda bhi gawara na raha
ab isi jalwa-e-be-jalwa ki hai dil ko talash
kabhi pinhan na raha jo kabhi paida na raha
ai KHuda in ke liye aur zamin paida kar
ye jahan qabil-e-arbab-e-tamanna na raha
ruh ko gharq kiya dil ko Duboya 'basit'
ek ruKH par kabhi sailab-e-tamanna na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.