ek misra hua ata mujhko
ek misra huā atā mujh ko
sher tujh par kahūñ batā mujh ko
raat bhar jāgne kī aadat thī
aur phir ishq ho gayā mujh ko
ai shab-e-ġham kahīñ Thikāna kar
ik valī ne hai dī duā mujh ko
tū kahīñ raakh hī na ho jaa.e
is tarah haath mat lagā mujh ko
mausam-e-hijr jā ḳhudā-hāfiz
us ne apnā banā liyā mujh ko
dasht-gardī mire vajūd meñ hai
qais bhī sochtā rahā mujh ko
mere pahlū meñ aa ke baiTh kabhī
aisā lamha bhī kar atā mujh ko
istirāhat mile samā.at ko
aisī aa.e koī sadā mujh ko
ek misra hua ata mujh ko
sher tujh par kahun bata mujh ko
raat bhar jagne ki aadat thi
aur phir ishq ho gaya mujh ko
ai shab-e-gham kahin Thikana kar
ek wali ne hai di dua mujh ko
tu kahin rakh hi na ho jae
is tarah hath mat laga mujh ko
mausam-e-hijr ja KHuda-hafiz
us ne apna bana liya mujh ko
dasht-gardi mere wajud mein hai
qais bhi sochta raha mujh ko
mere pahlu mein aa ke baiTh kabhi
aisa lamha bhi kar ata mujh ko
istirahat mile samaat ko
aisi aae koi sada mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.