ek muamma hai wo waise kitna bhola-bhaala hai
ek muamma hai vo vaise kitnā bholā-bhālā hai
ek ik rang anokhā us kā har andāz nirālā hai
shikva hai maiñ chup huuñ lekin itnā hai mālūm mujhe
mere phuul se lafzoñ se vo kāñTe chunñe vaalā hai
istifhām ke jangal meñ kab kaun kahāñ kyoñ kaisā kyā
soch meñ ḳhud ko gum paayā hai jab se hosh sañbhālā hai
duniyā meñ dekhā hai har sū jhuuT kapaT chhal makr-o-fareb
aur ye sunñe meñ aayā hai jhūTe kā muñh kaalā hai
koī samjhā de sāhil par mātam karne vāloñ ko
apnī marzī se kashtī ko is girdāb meñ Daalā hai
apne apne taur pe ahl-e-fikr ne us ko sochā hai
maiñ bas itnā kahtī huuñ ye maut kā ek nivālā hai
ek muamma hai wo waise kitna bhola-bhaala hai
ek ek rang anokha us ka har andaz nirala hai
shikwa hai main chup hun lekin itna hai malum mujhe
mere phul se lafzon se wo kanTe chunne wala hai
istifham ke jangal mein kab kaun kahan kyon kaisa kya
soch mein KHud ko gum paya hai jab se hosh sanbhaala hai
duniya mein dekha hai har su jhuT kapaT chhal makr-o-fareb
aur ye sunne mein aaya hai jhuTe ka munh kala hai
koi samjha de sahil par matam karne walon ko
apni marzi se kashti ko is girdab mein Dala hai
apne apne taur pe ahl-e-fikr ne us ko socha hai
main bas itna kahti hun ye maut ka ek niwala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.