ek muddat dhaDakta raha mera dil
ek muddat dhaḌaktā rahā merā dil
aap kī raah taktā rahā merā dil
ik kalī sī khilī thī tamannāoñ kī
ek arsa mahaktā rahā merā dil
shahr hairān haiñ merī rūdād par
dasht meñ kyuuñ bhaTaktā rahā merā dil
itnī kāñToñ bharī rahguzar thī mirī
har qadam par aTaktā rahā merā dil
izn-e-iz.hār mil bhī gayā thā magar
kis liye phir jhijaktā rahā merā dil
ek muddat dhaDakta raha mera dil
aap ki rah takta raha mera dil
ek kali si khili thi tamannaon ki
ek arsa mahakta raha mera dil
shahr hairan hain meri rudad par
dasht mein kyun bhaTakta raha mera dil
itni kanTon bhari rahguzar thi meri
har qadam par aTakta raha mera dil
izn-e-izhaar mil bhi gaya tha magar
kis liye phir jhijakta raha mera dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.