ek muddat ho gai gham se shanasai hue
ek muddat ho ga.ī ġham se shanāsā.ī hue
ham use apnā samajh kar us ke shaidā.ī hue
jab ḳhulūs-e-yār meñ shāmil tasanño ho gayā
ham bhī kyā karte asīr-e-dasht-e-tanhā.ī hue
fāsloñ ne qurbatoñ par Daal dī hai ḳhaak sī
ek arsa ho gayā hai bazm-ārā.ī hue
khul ga.e yak-laḳht un par sab ma.ānī husn ke
ham se milte hī vo ḳhud āgāh-e-rānā.ī hue
yuuñ jalā Daale to the ham ne tumhāre sab ḳhutūt
kuchh ki chehre par likhe jo vaj.h-e-rusvā.ī hue
ham ne ḳhvāboñ meñ basā rakkhā thā jis ko ai 'nasīm'
khīñch kar dāman vahī mahv-e-ḳhud-ārā.ī hue
ek muddat ho gai gham se shanasai hue
hum use apna samajh kar us ke shaidai hue
jab KHulus-e-yar mein shamil tasanno ho gaya
hum bhi kya karte asir-e-dasht-e-tanhai hue
faslon ne qurbaton par Dal di hai KHak si
ek arsa ho gaya hai bazm-arai hue
khul gae yak-laKHt un par sab maani husn ke
hum se milte hi wo KHud aagah-e-ranai hue
yun jala Dale to the hum ne tumhaare sab KHutut
kuchh ki chehre par likhe jo wajh-e-ruswai hue
hum ne KHwabon mein basa rakkha tha jis ko ai 'nasim'
khinch kar daman wahi mahw-e-KHud-arai hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.