ek muddat se adhura hai sarapa apna
ek muddat se adhūrā hai sarāpā apnā
gum huā jaane kahāñ bhiiḌ meñ chehra apnā
merī ḳhvāhish ke parinde ko qanā'at hai pasand
sūkhī Tahnī pe hī kartā hai baserā apnā
hirs caroñ ke ḳhazāne kī huī hai jab se
ḳhair ḳhairāt se bhartā nahīñ kaasa apnā
ham ne sīkhā hai gulāboñ se takallum kā tarīq
khurdurā ho nahīñ saktā kabhī lahja apnā
hai to 'ālam kī ḳhabar apnī ḳhabar ḳhaak nahīñ
ab tasavvur meñ hī khultā hai darīcha apnā
ukhḌī ukhḌī sī lagāvaT ko mohabbat na samajh
dhuup chamke to Thahartā nahīñ saaya apnā
ek ik saañs pe dete rahe jiine kā ḳhirāj
zindagī ne na kiyā tark taqāzā apnā
ādmiyyat se muzayyan vo kitābeñ thiiñ subuk
aaj raddī se girāñ-bār hai basta apnā
sirf ḳhvāboñ pe ijāra thā haqīqat pe nahīñ
ham sarāboñ ko samajhte rahe dariyā apnā
koī ḳhil'at na ‘ināyat kī talab hai 'sābir'
ham to likhte haiñ shab-o-roz qasīda apnā
ek muddat se adhura hai sarapa apna
gum hua jaane kahan bhiD mein chehra apna
meri KHwahish ke parinde ko qana'at hai pasand
sukhi Tahni pe hi karta hai basera apna
hirs caron ke KHazane ki hui hai jab se
KHair KHairaat se bharta nahin kasa apna
hum ne sikha hai gulabon se takallum ka tariq
khurdura ho nahin sakta kabhi lahja apna
hai to 'alam ki KHabar apni KHabar KHak nahin
ab tasawwur mein hi khulta hai daricha apna
ukhDi ukhDi si lagawaT ko mohabbat na samajh
dhup chamke to Thaharta nahin saya apna
ek ek sans pe dete rahe jine ka KHiraj
zindagi ne na kiya tark taqaza apna
aadmiyyat se muzayyan wo kitaben thin subuk
aaj raddi se giran-bar hai basta apna
sirf KHwabon pe ijara tha haqiqat pe nahin
hum sarabon ko samajhte rahe dariya apna
koi KHil'at na ‘inayat ki talab hai 'sabir'
hum to likhte hain shab-o-roz qasida apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.