ek muddat se apne ghar mein hain
ek muddat se apne ghar meñ haiñ
phir bhī lagtā hai ham safar meñ haiñ
ai zamīñ terī koī suntā nahīñ
āsmānoñ ke sab asar meñ haiñ
chalte rahne se ye huā mahsūs
kitnī hairāniyāñ safar meñ haiñ
kashmakash koī ḳhatm hotī nahīñ
ham agar meñ haiñ yā magar meñ haiñ
sarsarī jin ko dekhte haiñ sab
vo bhī manzar mirī nazar meñ haiñ
ek muddat se apne ghar mein hain
phir bhi lagta hai hum safar mein hain
ai zamin teri koi sunta nahin
aasmanon ke sab asar mein hain
chalte rahne se ye hua mahsus
kitni hairaniyan safar mein hain
kashmakash koi KHatm hoti nahin
hum agar mein hain ya magar mein hain
sarsari jin ko dekhte hain sab
wo bhi manzar meri nazar mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.