ek muddat se hai mere zehn par chhaya hua
ek muddat se hai mere zehn par chhāyā huā
reshmī āñchal tirī yādoñ kā lahrāyā huā
haañ tire bhūle hue vā'doñ se kuchh miltā to hai
rang in hasrat bharī sāñsoñ kā sañvlāyā huā
ai mirī majbūriyo nākāmiyo mahrūmiyo
hai koī mujh sā fareb-e-zindagī khāyā huā
yaar is māhaul meñ jiinā bahut dushvār hai
har nafas bechain har lamha hai ghabrāyā huā
naqd-e-jān-o-dil luTā baiThā tumhāre shahr meñ
ek saudāgar kahīñ pardes se aaya huā
roz is dīvār ke saa.e meñ so letā huuñ maiñ
aap se achchhā to is dīvār kā saaya huā
dil ke baare meñ unheñ 'āzar' batā denā ki vo
ek shīsha hai magar patthar se Takrāyā huā
ek muddat se hai mere zehn par chhaya hua
reshmi aanchal teri yaadon ka lahraya hua
han tere bhule hue wa'don se kuchh milta to hai
rang in hasrat bhari sanson ka sanwlaya hua
ai meri majburiyo nakaamiyo mahrumiyo
hai koi mujh sa fareb-e-zindagi khaya hua
yar is mahaul mein jina bahut dushwar hai
har nafas bechain har lamha hai ghabraya hua
naqd-e-jaan-o-dil luTa baiTha tumhaare shahr mein
ek saudagar kahin pardes se aaya hua
roz is diwar ke sae mein so leta hun main
aap se achchha to is diwar ka saya hua
dil ke bare mein unhen 'azar' bata dena ki wo
ek shisha hai magar patthar se Takraya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.