ek muddat se muskuraya nahin
ek muddat se muskurāyā nahīñ
dil ne taaza fareb khāyā nahīñ
un ko paane kā ḳhvāb dekhā thā
tab se apnā pata bhī paayā nahīñ
bazm-e-hastī sajī rahī lekin
jis kā thā intizār aaya nahīñ
sar pe girte rahe pahāḌ magar
mere jazboñ ne sar jhukāyā nahīñ
faḳhr-e-ādam na ho sakā jis ne
ḳhaak ho kar uruuj paayā nahīñ
zindagī kī hai shaam hone ko
dil ne phir bhī use bhulāyā nahīñ
umr sach kī sanad nahīñ hotī
ibn-e-mariyam ne kyā dikhāyā nahīñ
mujh ko ḳhud se jo āshnā kar de
aa.ina is adā kā paayā nahīñ
vaqt rahtā nahīñ sadā yaksāñ
kaun sā gul ḳhizāñ ne khāyā nahīñ
baiTh rahnā muhāl kar ke kahā
ham ne mahfil se to uThāyā nahīñ
dhuñdle dhuñdle the manziloñ ke nishāñ
phir bhī rāhoñ meñ Dagmagāyā nahīñ
jin meñ uḌtā thā ḳhvāb 'shāhīñ' kā
un fazāoñ ne āzmāyā nahīñ
ek muddat se muskuraya nahin
dil ne taza fareb khaya nahin
un ko pane ka KHwab dekha tha
tab se apna pata bhi paya nahin
bazm-e-hasti saji rahi lekin
jis ka tha intizar aaya nahin
sar pe girte rahe pahaD magar
mere jazbon ne sar jhukaya nahin
faKHr-e-adam na ho saka jis ne
KHak ho kar uruj paya nahin
zindagi ki hai sham hone ko
dil ne phir bhi use bhulaya nahin
umr sach ki sanad nahin hoti
ibn-e-mariyam ne kya dikhaya nahin
mujh ko KHud se jo aashna kar de
aaina is ada ka paya nahin
waqt rahta nahin sada yaksan
kaun sa gul KHizan ne khaya nahin
baiTh rahna muhaal kar ke kaha
hum ne mahfil se to uThaya nahin
dhundle dhundle the manzilon ke nishan
phir bhi rahon mein Dagmagaya nahin
jin mein uDta tha KHwab 'shahin' ka
un fazaon ne aazmaya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.