ek muddat se nahin dekhi hai ghar ki surat
ek muddat se nahīñ dekhī hai ghar kī sūrat
gardisheñ aaj bhī lipTī haiñ safar kī sūrat
qafas-e-jāñ meñ na rauzan hai na dar kī sūrat
kaise dekhūñ maiñ yahāñ shams-o-qamar kī sūrat
ab yahī jang kā unvān bhī ho saktā hai
us ne patthar koī pheñkā hai ḳhabar kī sūrat
maañ kī āġhosh se paivand-e-zamīñ hone tak
aa.ine ham ne tarāshe haiñ safar kī sūrat
makḌiyāñ apne hī jāloñ meñ phañsī baiThī haiñ
abhī kal tak to na thī ye mere ghar kī sūrat
roz aḳhbār uThāte haiñ yahī soch ke ham
koī muzhda nazar aa.e to ḳhabar kī sūrat
ham 'ziyā' sar ko bachā.eñ to bachā.eñ kaise
us kā har vaar numāyāñ hai hunar kī sūrat
ek muddat se nahin dekhi hai ghar ki surat
gardishen aaj bhi lipTi hain safar ki surat
qafas-e-jaan mein na rauzan hai na dar ki surat
kaise dekhun main yahan shams-o-qamar ki surat
ab yahi jang ka unwan bhi ho sakta hai
us ne patthar koi phenka hai KHabar ki surat
man ki aaghosh se paiwand-e-zamin hone tak
aaine hum ne tarashe hain safar ki surat
makDiyan apne hi jalon mein phansi baiThi hain
abhi kal tak to na thi ye mere ghar ki surat
roz aKHbar uThate hain yahi soch ke hum
koi muzhda nazar aae to KHabar ki surat
hum 'ziya' sar ko bachaen to bachaen kaise
us ka har war numayan hai hunar ki surat
- Book : Pas-e-Gard-e-Safar (Pg. 80)
- Author : Zia Farooqui
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.