ek muddat se ruKH-e-yar nahin dekha hai
ek muddat se ruḳh-e-yār nahīñ dekhā hai
nafrateñ dekhīñ magar pyaar nahīñ dekhā hai
dard aur ġham kā jo darmān bhī le kar aa.e
maiñ ne aisā koī ġham-ḳhvār nahīñ dekhā hai
nazar aate haiñ pujārī to bahut daulat ke
koī ulfat kā talabgār nahīñ dekhā hai
vo jo mazdūr banāte haiñ mahal auroñ ke
un kā apnā koī ghar-bār nahīñ dekhā hai
qatl-o-ġhārat hai bapā kaisī mire shahroñ meñ
yuuñ kabhī ḳhuun kā bāzār nahīñ dekhā hai
ek muddat se ruKH-e-yar nahin dekha hai
nafraten dekhin magar pyar nahin dekha hai
dard aur gham ka jo darman bhi le kar aae
main ne aisa koi gham-KHwar nahin dekha hai
nazar aate hain pujari to bahut daulat ke
koi ulfat ka talabgar nahin dekha hai
wo jo mazdur banate hain mahal auron ke
un ka apna koi ghar-bar nahin dekha hai
qatl-o-ghaarat hai bapa kaisi mere shahron mein
yun kabhi KHun ka bazar nahin dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.