ek muddat se use humne juda rakkha hai
ek muddat se use ham ne judā rakkhā hai
ye alag baat hai yādoñ meñ basā rakkhā hai
hai ḳhalā chāroñ taraf us ke to ham kyuuñ na kaheñ
kis ne is dhartī ko kāñdhoñ pe uThā rakkhā hai
jo sadā saath rahe aur dikhā.ī bhī na de
naam us kā to zamāne ne ḳhudā rakkhā hai
mire chehre pe ujālā hai to hairāñ kyuuñ hai
ham ne sapne meñ bhī ek chāñd chhupā rakkhā hai
jo talab chāñdnī rātoñ meñ bhaTaktī hī rahī
ab use dhuup kī chādar meñ sulā rakkhā hai
ek muddat se use hum ne juda rakkha hai
ye alag baat hai yaadon mein basa rakkha hai
hai KHala chaaron taraf us ke to hum kyun na kahen
kis ne is dharti ko kandhon pe uTha rakkha hai
jo sada sath rahe aur dikhai bhi na de
nam us ka to zamane ne KHuda rakkha hai
mere chehre pe ujala hai to hairan kyun hai
hum ne sapne mein bhi ek chand chhupa rakkha hai
jo talab chandni raaton mein bhaTakti hi rahi
ab use dhup ki chadar mein sula rakkha hai
- Book : Khushboo Rang Sada ke Sang (Pg. 87)
- Author : Preem Bhandari
- Publication : Westzone Culture Center Udaipur (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.