ek muflis ka guzar bazar se hota hua
ek muflis kā guzar bāzār se hotā huā
ḳhud kahānī ban gayā kirdār se hotā huā
phal to kyā saa.e pe us ke haq nahīñ merā koī
jo shajar ghar aa gayā dīvār se hotā huā
TūTtā kab hai junūñ kā rābta is dasht se
ab bhī aatā huuñ magar ghar-bār se hotā huā
tum hathelī par jahāñ sarsoñ jamāne aa.e ho
piir aatā hai vahāñ itvār se hotā huā
ek muddat dar-ba-dar kī Thokareñ khāne ke baa'd
ḳhud meñ aayā maiñ dil-e-ġham-ḳhvār se hotā huā
ek muflis ka guzar bazar se hota hua
KHud kahani ban gaya kirdar se hota hua
phal to kya sae pe us ke haq nahin mera koi
jo shajar ghar aa gaya diwar se hota hua
TuTta kab hai junun ka rabta is dasht se
ab bhi aata hun magar ghar-bar se hota hua
tum hatheli par jahan sarson jamane aae ho
pir aata hai wahan itwar se hota hua
ek muddat dar-ba-dar ki Thokaren khane ke ba'd
KHud mein aaya main dil-e-gham-KHwar se hota hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.