ek muTThi ek sahra bhej de
ek muTThī ek sahrā bhej de
koī āñdhī merā hissa bhej de
zindagī bachchī hai is kā dil na toḌ
ḳhvāb kī nannhī se guḌiyā bhej de
aks ḳhāka dhund parchhā.īñ ġhubār
mere qābil koī tohfa bhej de
sau baras kī umr le kar kyā karūñ
chain kā be-qaid lamha bhej de
āsmāñ bint-e-zamīñ ke vāste
saat rañgoñ kā dupaTTa bhej de
ek muTThi ek sahra bhej de
koi aandhi mera hissa bhej de
zindagi bachchi hai is ka dil na toD
KHwab ki nannhi se guDiya bhej de
aks KHaka dhund parchhain ghubar
mere qabil koi tohfa bhej de
sau baras ki umr le kar kya karun
chain ka be-qaid lamha bhej de
aasman bint-e-zamin ke waste
sat rangon ka dupaTTa bhej de
- Book : Aiwan (Pg. 70)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.