ek nala bhi nahin shikwa-e-bedad nahin
ek naala bhī nahīñ shikva-e-bedād nahīñ
kyā sitam hai ki hameñ koī sitam yaad nahīñ
jis ne ḳhanjar ko mire dil pe Tikā rakkhā hai
merā mahbūb hai mahbūb vo jallād nahīñ
yaad meñ us kī shab-o-roz taḌapte rahiye
vo bhī fariyād hai zāhir meñ jo fariyād nahīñ
dāna-o-āb ke pīchhe hai nihāñ daam 'rafīq'
mehrbānī to kabhī sheva-e-sayyād nahīñ
ek nala bhi nahin shikwa-e-bedad nahin
kya sitam hai ki hamein koi sitam yaad nahin
jis ne KHanjar ko mere dil pe Tika rakkha hai
mera mahbub hai mahbub wo jallad nahin
yaad mein us ki shab-o-roz taDapte rahiye
wo bhi fariyaad hai zahir mein jo fariyaad nahin
dana-o-ab ke pichhe hai nihan dam 'rafiq'
mehrbani to kabhi shewa-e-sayyaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.