ek nale mein sari raat gai
ek naale meñ saarī raat ga.ī
ek hichkī meñ kā.enāt ga.ī
daulat-e-zīst thī amānat-e-dost
ek baat aa.ī ek haat ga.ī
lutf dekhā na kuchh javānī kā
kyā palak mārte ye raat ga.ī
vaqt-e-āḳhir bhī vo nahīñ aa.e
haath maltī huī hayāt ga.ī
paas the tum maza thā jiine kā
tum ga.e lazzat-e-hayāt ga.ī
paate hī dil kā bhed vo rūThe
lab pe aa.ī na thī ki baat ga.ī
kyā milā dil ko be-nishāñ kar ke
ek bekas kī kā.enāt ga.ī
na.ash-e-afsar nahīñ uThī ye 'sarosh'
kisī nau-shāh kī barāt ga.ī
ek nale mein sari raat gai
ek hichki mein kaenat gai
daulat-e-zist thi amanat-e-dost
ek baat aai ek hat gai
lutf dekha na kuchh jawani ka
kya palak marte ye raat gai
waqt-e-aKHir bhi wo nahin aae
hath malti hui hayat gai
pas the tum maza tha jine ka
tum gae lazzat-e-hayat gai
pate hi dil ka bhed wo ruThe
lab pe aai na thi ki baat gai
kya mila dil ko be-nishan kar ke
ek bekas ki kaenat gai
nash-e-afsar nahin uThi ye 'sarosh'
kisi nau-shah ki baraat gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.