ek nai zist liye aaj ajal aai hai
ek na.ī ziist liye aaj ajal aa.ī hai
qaid se ham ne rihā.ī hī kahāñ paa.ī hai
us se milne ke liye is qadar ai dil na taḌap
merā iz.hār-e-mohabbat mirī rusvā.ī hai
inqilābāt-e-zamāna ko zamāna samjhe
ham to kahte haiñ ki vo bhī tirī añgḌā.ī hai
jis ke sho.aloñ se huī husn kī rangat raushan
aag aisī mire jazbāt ne sulgā.ī hai
ham ne armānoñ kī mayyat ko diyā hai kāñdhā
ai ġham-e-dil ye tirī hausla-afzā.ī hai
hai ye Dar nuuh kā tūfāñ na samajh le duniyā
chādar-e-ashk-e-vafā ham ne jo phailā.ī hai
ā.ina-ḳhāna-e-dil meñ vo zarūr ā.eñge
un ke dil meñ bhī tamanna-e-ḳhud-ārā.ī hai
haath se saaqī ke piinā hī paḌegā mujhe ab
merī tauba-shikanī ban ke ghaTā chhā.ī hai
'akmal' insān vo akmal hai ba-faiz-e-fitrat
dard-e-insāñ se jis insāñ kī shanāsā.ī hai
ek nai zist liye aaj ajal aai hai
qaid se hum ne rihai hi kahan pai hai
us se milne ke liye is qadar ai dil na taDap
mera izhaar-e-mohabbat meri ruswai hai
inqilabaat-e-zamana ko zamana samjhe
hum to kahte hain ki wo bhi teri angDai hai
jis ke shoalon se hui husn ki rangat raushan
aag aisi mere jazbaat ne sulgai hai
hum ne armanon ki mayyat ko diya hai kandha
ai gham-e-dil ye teri hausla-afzai hai
hai ye Dar nuh ka tufan na samajh le duniya
chadar-e-ashk-e-wafa hum ne jo phailai hai
aaina-KHana-e-dil mein wo zarur aaenge
un ke dil mein bhi tamanna-e-KHud-arai hai
hath se saqi ke pina hi paDega mujhe ab
meri tauba-shikani ban ke ghaTa chhai hai
'akmal' insan wo akmal hai ba-faiz-e-fitrat
dard-e-insan se jis insan ki shanasai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.