ek nazren jo milane se hamare dil mein
ek nazren jo milane se hamare dil mein
Sangeeta Srivastava Suman
MORE BYSangeeta Srivastava Suman
ek nazreñ jo milāne se hamāre dil meñ
aan baiThā vo bahāne se hamāre dil meñ
aap ke roz manāne se hamāre dil meñ
bajne lagte haiñ tarāne se hamāre dil meñ
jaan dene kī adā ḳhuub huā kartī hai
sabr hai jaan luTāne se hamāre dil meñ
Tiis uThtī hai kabhī dard javāñ hotā hai
jazba-e-'ishq nibhāne se hamāre dil meñ
ham ne nafrat ko mohabbat se hamesha jiitā
sukh hai kuchh pyaar kamāne se hamāre dil meñ
ek nazren jo milane se hamare dil mein
aan baiTha wo bahane se hamare dil mein
aap ke roz manane se hamare dil mein
bajne lagte hain tarane se hamare dil mein
jaan dene ki ada KHub hua karti hai
sabr hai jaan luTane se hamare dil mein
Tis uThti hai kabhi dard jawan hota hai
jazba-e-'ishq nibhane se hamare dil mein
hum ne nafrat ko mohabbat se hamesha jita
sukh hai kuchh pyar kamane se hamare dil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.