ek paikar hai ki imsal mein aata hi nahin
ek paikar hai ki imsāl meñ aatā hī nahīñ
jaise ā.īna ḳhad-o-ḳhāl meñ aatā hī nahīñ
āsmāñ kā ye qafas qaid kare bhī kaise
dil vo panchhī ki par-o-bāl meñ aatā hī nahīñ
ham jise dekhte haiñ us ke 'alāva bhī hai
ik zamāna jo mah-o-sāl meñ aatā hī nahīñ
apne rahne ko bhī kyā shahr milā hai jis kā
haal ye hai ki kisī haal meñ aatā hī nahīñ
māntā kab hai kisī sūd-o-ziyāñ ko ye dil
aisā vahshī hai kisī chaal meñ aatā hī nahīñ
ek paikar hai ki imsal mein aata hi nahin
jaise aaina KHad-o-KHal mein aata hi nahin
aasman ka ye qafas qaid kare bhi kaise
dil wo panchhi ki par-o-baal mein aata hi nahin
hum jise dekhte hain us ke 'alawa bhi hai
ek zamana jo mah-o-sal mein aata hi nahin
apne rahne ko bhi kya shahr mila hai jis ka
haal ye hai ki kisi haal mein aata hi nahin
manta kab hai kisi sud-o-ziyan ko ye dil
aisa wahshi hai kisi chaal mein aata hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.