ek pal ke liye the wo aae nazar
ek pal ke liye the vo aa.e nazar
umr bhar dil pukārā ki haa.e nazar
phuul ban kar hamesha hī khiltī rahe
chāñd ban kar kabhī jagmagā.e nazar
vaqt-e-ruḳhsat tirī chashm-e-nam kyā kahūñ
kaash manzar mirī bhuul jaa.e nazar
jaane dil meñ ye kis kā ḳhayāl aa gayā
aap hī aap ye muskurā.e nazar
ik misālī ġhazal hai likhī aap par
ḳhvāb lamhoñ se raushan barā.e nazar
ek muddat se hasrat yahī hai mirī
mujh ko dekhe to phir vo milā.e nazar
us ke tīr-e-nazar kī baḌī dhuum hai
aa.e dil pe mire āzmā.e nazar
us nazar kī nazar maiñ utārūñgī phir
ik nazar jo tujhe dekh paa.e nazar
'hādia' ruuh meñ merī bastā hai vo
kaise mumkin hai ab vo churā.e nazar
ek pal ke liye the wo aae nazar
umr bhar dil pukara ki hae nazar
phul ban kar hamesha hi khilti rahe
chand ban kar kabhi jagmagae nazar
waqt-e-ruKHsat teri chashm-e-nam kya kahun
kash manzar meri bhul jae nazar
jaane dil mein ye kis ka KHayal aa gaya
aap hi aap ye muskurae nazar
ek misali ghazal hai likhi aap par
KHwab lamhon se raushan barae nazar
ek muddat se hasrat yahi hai meri
mujh ko dekhe to phir wo milae nazar
us ke tir-e-nazar ki baDi dhum hai
aae dil pe mere aazmae nazar
us nazar ki nazar main utarungi phir
ek nazar jo tujhe dekh pae nazar
'hadia' ruh mein meri basta hai wo
kaise mumkin hai ab wo churae nazar
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.