ek patthar ko rasta na dikha
ek patthar ko rāsta na dikhā
ghup añdhere meñ aa.ina na dikhā
dil rakhā hai utaar de ḳhanjar
duur se ras bharī ghaTā na dikhā
vo sadā jo sunā.ī dī hī nahīñ
us sadā ke tū naqsh-e-pā na dikhā
āsmāñ hī meñ suukh jaa.e ghaTā
aisī tasvīr-e-bad-duā na dikhā
maiñ jahannum se bhī nibhā lūñgā
ab ye chehra bhī phuul sā na dikhā
sard mausam kī aag ko bhī samajh
sīdhe muñh baat kar adā na dikhā
ek patthar ko rasta na dikha
ghup andhere mein aaina na dikha
dil rakha hai utar de KHanjar
dur se ras bhari ghaTa na dikha
wo sada jo sunai di hi nahin
us sada ke tu naqsh-e-pa na dikha
aasman hi mein sukh jae ghaTa
aisi taswir-e-bad-dua na dikha
main jahannum se bhi nibha lunga
ab ye chehra bhi phul sa na dikha
sard mausam ki aag ko bhi samajh
sidhe munh baat kar ada na dikha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.