ek patthar rakh liya hai sina-e-sad-chaak par
ek patthar rakh liyā hai sīna-e-sad-chāk par
zabt kā pahra lagāyā dīda-e-namnāk par
kaun hai jis par nahīñ khultā mirā dast-e-hunar
kis kī miTTī ek muddat se rakhī hai chaak par
chaar din meñ hī haqīqat kī zamīñ par aa girā
chaar din meñ bhī uḌā thā ishq ke aflāk par
ye ḳhizāñ peḌoñ se patte dil se ḳhushiyāñ le ga.ī
zor kuchh bhī chal na paayā mausam-e-saffāk par
sānehe paḌte raheñge sach ke raste meñ hazār
uñgliyāñ uThtī raheñgī lahja-e-bebāk par
jo bhī aayā vo tirī āñkhoñ kā ho ke rah gayā
ye bhañvar ab tak na khul paa.e kisī tairāk par
ek patthar rakh liya hai sina-e-sad-chaak par
zabt ka pahra lagaya dida-e-namnak par
kaun hai jis par nahin khulta mera dast-e-hunar
kis ki miTTi ek muddat se rakhi hai chaak par
chaar din mein hi haqiqat ki zamin par aa gira
chaar din mein bhi uDa tha ishq ke aflak par
ye KHizan peDon se patte dil se KHushiyan le gai
zor kuchh bhi chal na paya mausam-e-saffak par
sanehe paDte rahenge sach ke raste mein hazar
ungliyan uThti rahengi lahja-e-bebak par
jo bhi aaya wo teri aankhon ka ho ke rah gaya
ye bhanwar ab tak na khul pae kisi tairak par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.