ek qatra na kahin KHun ka baha mere baad
ek qatra na kahīñ ḳhuuñ kā bahā mere baa'd
zañg-ālūd huī teġh-e-jafā mere baa'd
kyuuñ har ik moḌ pe hotā hai ghuTan kā ehsās
tañg kyuuñ hone lagī merī fazā mere baa'd
dekhte dekhte hī maañd paḌe shams-o-qamar
ḳhud se bezār hue sub.h-o-masā mere baa'd
har taraf zardī-e-ruḳhsār nazar aatī hai
kahīñ raushan na milā rañg-e-hinā mere baa'd
ruk gayā qāfila-e-umr-e-subuk-rau shāyad
dekh ḳhāmosh hai āvāz-e-darā mere baa'd
zindagī bhar na kiyā yaad kisī ne aur ab
pūchhte haiñ vo mere ghar kā patā mere baa'd
'umr bhar us ko sambhāle hue rakkhā maiñ ne
gir na jaa.e kahīñ dīvār-e-anā mere baa'd
ab bhī kyā is meñ hai ābād siyāhī 'hamdam'
mere vīrāne kā kyā haal huā mere baa'd
ek qatra na kahin KHun ka baha mere ba'd
zang-alud hui tegh-e-jafa mere ba'd
kyun har ek moD pe hota hai ghuTan ka ehsas
tang kyun hone lagi meri faza mere ba'd
dekhte dekhte hi mand paDe shams-o-qamar
KHud se bezar hue subh-o-masa mere ba'd
har taraf zardi-e-ruKHsar nazar aati hai
kahin raushan na mila rang-e-hina mere ba'd
ruk gaya qafila-e-umr-e-subuk-rau shayad
dekh KHamosh hai aawaz-e-dara mere ba'd
zindagi bhar na kiya yaad kisi ne aur ab
puchhte hain wo mere ghar ka pata mere ba'd
'umr bhar us ko sambhaale hue rakkha main ne
gir na jae kahin diwar-e-ana mere ba'd
ab bhi kya is mein hai aabaad siyahi 'hamdam'
mere virane ka kya haal hua mere ba'd
- Book : Waraq-e-saadah (Gazals) (Pg. 27)
- Author : Hamdam Kashmiri
- Publication : Hamdam Kashmiri, Khan Mahel, Shrinagar (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.