ek raushan charāġh jaisā hai
'ishq sajde ke daaġh jaisā hai
aap laa.iq nahīñ mohabbat ke
aap kā dil dimāġh jaisā hai
muddatoñ baa'd vo nazar aa.e
aaj dil baaġh baaġh jaisā hai
ḳhuuñ kī har buuñd hijr se tar hai
dil kā har zarra daaġh jaisā hai
raaz saare bayān kar degā
ashk bhī ik surāġh jaisā hai
ek raushan charagh jaisa hai
'ishq sajde ke dagh jaisa hai
aap laiq nahin mohabbat ke
aap ka dil dimagh jaisa hai
muddaton ba'd wo nazar aae
aaj dil bagh bagh jaisa hai
KHun ki har bund hijr se tar hai
dil ka har zarra dagh jaisa hai
raaz sare bayan kar dega
ashk bhi ek suragh jaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.