ek rishta dard ka hai mere uske darmiyan
ek rishta dard kā hai mere us ke darmiyāñ
phir bhī kitnā fāsla hai mere us ke darmiyāñ
mere us ke darmiyāñ yuuñ hī raheñgī ranjisheñ
koī jab tak tīsrā hai mere us ke darmiyāñ
baat ham donoñ kī hai ham ḳhud nimaT leñge kabhī
kyoñ zamāna boltā hai mere us ke darmiyāñ
kal talak the saath ham ik dūsre ke aur aaj
muddatoñ kā fāsla hai mere us ke darmiyāñ
chhoTī-moTī ranjisheñ haiñ ḳhud-ba-ḳhud miT jā.eñgī
aur abhī bigḌā hī kyā hai mere us ke darmiyāñ
us ko bhī ho jā.egī mujh se mohabbat par abhī
guftugū kā silsila hai mere us ke darmiyāñ
aarzū dil kī hai 'rāġhib' umr bhar raushan rahe
jo yaqīñ kā ik diyā hai mere us ke darmiyāñ
ek rishta dard ka hai mere us ke darmiyan
phir bhi kitna fasla hai mere us ke darmiyan
mere us ke darmiyan yun hi rahengi ranjishen
koi jab tak tisra hai mere us ke darmiyan
baat hum donon ki hai hum KHud nimaT lenge kabhi
kyon zamana bolta hai mere us ke darmiyan
kal talak the sath hum ek dusre ke aur aaj
muddaton ka fasla hai mere us ke darmiyan
chhoTi-moTi ranjishen hain KHud-ba-KHud miT jaengi
aur abhi bigDa hi kya hai mere us ke darmiyan
us ko bhi ho jaegi mujh se mohabbat par abhi
guftugu ka silsila hai mere us ke darmiyan
aarzu dil ki hai 'raghib' umr bhar raushan rahe
jo yaqin ka ek diya hai mere us ke darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.