ek sadaqat par marna hai ek sadaqat jina hai
ek sadāqat par marnā hai ek sadāqat jiinā hai
shab kī gahrā.ī naapī hai din kī vus.at jiinā hai
vo bhī din the dīvāroñ par jab qurbat ke saa.e the
ab ghar kī chhoTī sī chhat ko hijr kī saa.at jiinā hai
patā kahāñ thā chalte chalte rāheñ bhī kho jaatī haiñ
ab tak jis kā pyaar jiyā hai us kī nafrat jiinā hai
jaane kitnā sochā hogā bastī ke ḳhush-poshoñ ne
tab ye hukm lagāyā hogā sab ko izzat jiinā hai
nahīñ shikāyat mujhe kisī se jag kyoñ mujh se gila kare
is duniyā meñ sab ko apnī apnī qismat jiinā hai
shahr ke saare aḳhbāroñ ne chhāpī hai ye ek ḳhabar
ik din ḳhaak ke har zarre ko dhuup kī shiddat jiinā hai
merā jurm yahī hai maiñ ne jhuuT ke hāthoñ sach bechā
ab to jitne din jiinā hai chashm-e-nadāmat jiinā hai
lekin ye kyā din Dhalte hī chhoḌā saath charāġhoñ ne
ham to ye samjhe the saarī umr mohabbat jiinā hai
baiThī hai bārūd ke uupar kab se ye duniyā 'parvāz'
lagtā hai mere bachchoñ ko Dar aur dahshat jiinā hai
ek sadaqat par marna hai ek sadaqat jina hai
shab ki gahrai napi hai din ki wusat jina hai
wo bhi din the diwaron par jab qurbat ke sae the
ab ghar ki chhoTi si chhat ko hijr ki saat jina hai
pata kahan tha chalte chalte rahen bhi kho jati hain
ab tak jis ka pyar jiya hai us ki nafrat jina hai
jaane kitna socha hoga basti ke KHush-poshon ne
tab ye hukm lagaya hoga sab ko izzat jina hai
nahin shikayat mujhe kisi se jag kyon mujh se gila kare
is duniya mein sab ko apni apni qismat jina hai
shahr ke sare aKHbaron ne chhapi hai ye ek KHabar
ek din KHak ke har zarre ko dhup ki shiddat jina hai
mera jurm yahi hai main ne jhuT ke hathon sach becha
ab to jitne din jina hai chashm-e-nadamat jina hai
lekin ye kya din Dhalte hi chhoDa sath charaghon ne
hum to ye samjhe the sari umr mohabbat jina hai
baiThi hai barud ke upar kab se ye duniya 'parwaz'
lagta hai mere bachchon ko Dar aur dahshat jina hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.