ek samundar ek kinara ek sitara kafi hai
ek samundar ek kināra ek sitārā kaafī hai
is manzar meñ us ke alāva koī akelā kaafī hai
dene vaalā jholiyāñ bhar bhar detā hai to us kā karam
lene vaale kab kahte haiñ daatā itnā kaafī hai
ek ġhalat-andāz nazar se gulshan gulshan daaġh jaleñ
shabnam shabnam rulvāne ko ek hī jumla kaafī hai
ḳhushk laboñ par pyaas sajā.e bahr-e-āshām nahīñ haiñ ham
ham jaisoñ ko tishna-labī meñ ek hī dariyā kaafī hai
ab to aur bhī duniyā.eñ haiñ muntazir-e-arbāb-e-havas
un logoñ kā qaul nahīñ hai ham ko ye duniyā kaafī hai
shahr-e-vafā se dasht-e-junūñ tak chāhe jitne marāhil huuñ
vahshat ke to dūsre ruḳh par ek darīcha kaafī hai
husn-e-suḳhan baaqī rakhne ko kuchh ib.hām zarūrī hai
kahte kahte ruk jaane meñ hai jo ishāra kaafī hai
us ke afsūñ us ke fasāne donoñ ko mas.hūr rakheñ
aql-o-junūñ kī dahlīzoñ par ḳhvāb kā pahra kaafī hai
ek sabhā dil vāloñ kī ik taan rasīle logoñ kī
shahr ke raushan rakhne ko itnā sā ujālā kaafī hai
ek samundar ek kinara ek sitara kafi hai
is manzar mein us ke alawa koi akela kafi hai
dene wala jholiyan bhar bhar deta hai to us ka karam
lene wale kab kahte hain data itna kafi hai
ek ghalat-andaz nazar se gulshan gulshan dagh jalen
shabnam shabnam rulwane ko ek hi jumla kafi hai
KHushk labon par pyas sajae bahr-e-asham nahin hain hum
hum jaison ko tishna-labi mein ek hi dariya kafi hai
ab to aur bhi duniyaen hain muntazir-e-arbab-e-hawas
un logon ka qaul nahin hai hum ko ye duniya kafi hai
shahr-e-wafa se dasht-e-junun tak chahe jitne marahil hun
wahshat ke to dusre ruKH par ek daricha kafi hai
husn-e-suKHan baqi rakhne ko kuchh ibham zaruri hai
kahte kahte ruk jaane mein hai jo ishaara kafi hai
us ke afsun us ke fasane donon ko mashur rakhen
aql-o-junun ki dahlizon par KHwab ka pahra kafi hai
ek sabha dil walon ki ek tan rasile logon ki
shahr ke raushan rakhne ko itna sa ujala kafi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.