ek shai ko hazar kaun kare
ek shai ko hazār kaun kare
maiñ ko ham meñ shumār kaun kare
is jahāñ kī girāniyāñ tauba
sar pe in ko savār kaun kare
phir bahārāñ hai phir gul-e-ummīd
dil ko phir be-qarār kaun kare
zinda rahnā yahāñ ġhanīmat hai
is ḳharābe meñ pyaar kaun kare
gardish-e-vaqt le gayā vo saath
phir yahāñ intizār kaun kare
ek shai ko hazar kaun kare
main ko hum mein shumar kaun kare
is jahan ki giraniyan tauba
sar pe in ko sawar kaun kare
phir bahaaran hai phir gul-e-ummid
dil ko phir be-qarar kaun kare
zinda rahna yahan ghanimat hai
is KHarabe mein pyar kaun kare
gardish-e-waqt le gaya wo sath
phir yahan intizar kaun kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.