ek sitara TuT gaya hai
ek sitāra TuuT gayā hai
kyuuñ lagtā hai ḳhālī chāñd
chhupan-chhupā.ī khel rahe haiñ
ek peḌ kī Daalī chāñd
tere ruup kā darshan māñge
kab se khaḌā savālī chāñd
laal garm angāra sūraj
ek sunahrī thālī chāñd
tujh ko is se Dar nahīñ lagtā
raat hai kaisī kaalī chāñd
mere āñgan tū nahīñ utrā
sab ne 'iid manā lī chāñd
merā chāñd muqābil mere
tujh se nazar haTā lī chāñd
ek sitara TuT gaya hai
kyun lagta hai KHali chand
chhupan-chhupai khel rahe hain
ek peD ki Dali chand
tere rup ka darshan mange
kab se khaDa sawali chand
lal garm angara suraj
ek sunahri thaali chand
tujh ko is se Dar nahin lagta
raat hai kaisi kali chand
mere aangan tu nahin utra
sab ne 'id mana li chand
mera chand muqabil mere
tujh se nazar haTa li chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.