ek suhani sham guzari raste mein
ek suhānī shaam guzārī raste meñ
raste kī sab thakan utārī raste meñ
ghar aate hī pheñk diyā masnū'ī-pan
duniyā se kī duniyā-dārī raste meñ
jab bhī apne aap se milne niklūñ maiñ
aa jaatī hai duniyā saarī raste meñ
mujh se chhīn ke le ga.ī merī manzil bhī
utar ga.ī jo ek savārī raste meñ
ek suhani sham guzari raste mein
raste ki sab thakan utari raste mein
ghar aate hi phenk diya masnu'i-pan
duniya se ki duniya-dari raste mein
jab bhi apne aap se milne niklun main
aa jati hai duniya sari raste mein
mujh se chhin ke le gai meri manzil bhi
utar gai jo ek sawari raste mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.