ek taklif pas-e-qalb-o-jigar hoti hai
ek taklīf pas-e-qalb-o-jigar hotī hai
aksar is tarah se bhī raat basar hotī hai
maiñ ġham-e-shab ko basar kartā huuñ mushkil se miyāñ
shab guzarte hī kisī dukh se sahar hotī hai
nāsehā kuchh to kamī hogī tirī baat meñ bhī
is liye terī nasīhat be-asar hotī hai
de to saktā huuñ javāban maiñ tujhe bhī gaalī
mere kirdār kī tauhīn magar hotī hai
silsila hai ye mohabbat bhī mukāfāt hī kā
jo idhar hotī hai hālat vo udhar hotī hai
aate haiñ kitne hī dushvār marāhil 'hamza'
tai jo kī jaa.e to tai rāhguzar hotī hai
ek taklif pas-e-qalb-o-jigar hoti hai
aksar is tarah se bhi raat basar hoti hai
main gham-e-shab ko basar karta hun mushkil se miyan
shab guzarte hi kisi dukh se sahar hoti hai
naseha kuchh to kami hogi teri baat mein bhi
is liye teri nasihat be-asar hoti hai
de to sakta hun jawaban main tujhe bhi gali
mere kirdar ki tauhin magar hoti hai
silsila hai ye mohabbat bhi mukafat hi ka
jo idhar hoti hai haalat wo udhar hoti hai
aate hain kitne hi dushwar marahil 'hamza'
tai jo ki jae to tai rahguzar hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.