ek tamanna aisi jo darkar nahin
ek tamannā aisī jo darkār nahīñ
ek pahelī hai jo pur-asrār nahīñ
kahīñ pe ghar ḳhālī hai koī log nahīñ
kahīñ pe log bahut haiñ par dīvār nahīñ
terā us ko chhoḌ ke jiinā aisā hai
ek kahānī puurī hai kirdār nahīñ
milne kī ummīd kahīñ par rakkhī hai
bojh kisī ke hijr kā hai jo baar nahīñ
ek suhūlat hāsil ho jaa.e mujh ko
us kī ḳhātir lekin maiñ tayyār nahīñ
bhaav nahīñ mālūm ki kis kā kitnā hai
maiñ be-mol to huuñ lekin be-kār nahīñ
ham-āhañg bhī hote haiñ par duniyā meñ
tere mere jaisī kuchh takrār nahīñ
kam hai lekin achchhā ḳhāsā likkhā hai
sher kā matlab sher hai ab ambār nahīñ
ek tamanna aisi jo darkar nahin
ek paheli hai jo pur-asrar nahin
kahin pe ghar KHali hai koi log nahin
kahin pe log bahut hain par diwar nahin
tera us ko chhoD ke jina aisa hai
ek kahani puri hai kirdar nahin
milne ki ummid kahin par rakkhi hai
bojh kisi ke hijr ka hai jo bar nahin
ek suhulat hasil ho jae mujh ko
us ki KHatir lekin main tayyar nahin
bhaw nahin malum ki kis ka kitna hai
main be-mol to hun lekin be-kar nahin
ham-ahang bhi hote hain par duniya mein
tere mere jaisi kuchh takrar nahin
kam hai lekin achchha KHasa likkha hai
sher ka matlab sher hai ab ambar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.