ek taswir jo kamre mein lagai hui hai
ek tasvīr jo kamre meñ lagā.ī huī hai
ghar kī TuuTī huī dīvār chhupā.ī huī hai
qabr pe diip na rakh naam kā katba na lagā
ham ne mushkil se ye tanhā.ī kamā.ī huī hai
taḳht aur taaj to jūtoñ meñ paḌe rahte haiñ
vo gadā.ī tire darvesh ne paa.ī huī hai
Dhol kā shor-e-qayāmat hai ki terī bārāt
dūsre gaañv se gaañv meñ aa.ī huī hai
aañkh par shīsha lagāyā hai ki mahfūz rahe
terī tasvīr jo paanī meñ banā.ī huī hai
ek taswir jo kamre mein lagai hui hai
ghar ki TuTi hui diwar chhupai hui hai
qabr pe dip na rakh nam ka katba na laga
hum ne mushkil se ye tanhai kamai hui hai
taKHt aur taj to juton mein paDe rahte hain
wo gadai tere darwesh ne pai hui hai
Dhol ka shor-e-qayamat hai ki teri baraat
dusre ganw se ganw mein aai hui hai
aankh par shisha lagaya hai ki mahfuz rahe
teri taswir jo pani mein banai hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.