ek tha shaKHs zamana tha ki diwana bana
ek thā shaḳhs zamāna thā ki dīvāna banā
ek afsāna thā afsāne se afsāna banā
ik parī-chehra ki jis chehre se ā.īna banā
dil ki ā.īna-dar-ā.īna parī-ḳhāna banā
ḳhema-e-shab meñ nikal aatā hai gaahe gaahe
ek aahū kabhī apnā kabhī begāna banā
hai charāġhāñ hī charāġhāñ sar-e-āriz sar-e-jām
rañg-e-sad-jalva-e-jānāna sanam-ḳhāna banā
ek jhoñkā tire pahlū kā mahaktī huī yaad
ek lamha tirī dildārī kā kyā kyā na banā
ek tha shaKHs zamana tha ki diwana bana
ek afsana tha afsane se afsana bana
ek pari-chehra ki jis chehre se aaina bana
dil ki aaina-dar-aina pari-KHana bana
KHema-e-shab mein nikal aata hai gahe gahe
ek aahu kabhi apna kabhi begana bana
hai charaghan hi charaghan sar-e-ariz sar-e-jam
rang-e-sad-jalwa-e-jaanana sanam-KHana bana
ek jhonka tere pahlu ka mahakti hui yaad
ek lamha teri dildari ka kya kya na bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.