ek to bebasi izafi hai
ek to bebasī izāfī hai
aur phir zindagī izāfī hai
aañkh meñ āñsuoñ ne bain kiyā
yā'nī merī hañsī izāfī hai
ye ḳhushī muskurāhaTeñ raunaq
in dinoñ ye sabhī izāfī hai
yaar ye kyā ki tere hote hue
mujh meñ terī kamī izāfī hai
dard ajdād se milā hai kuchh
aur phir shā'irī izāfī hai
bhuul baiThe tujhe 'sabā' ahbāb
tū unheñ vāqa'ī izāfī hai
ek to bebasi izafi hai
aur phir zindagi izafi hai
aankh mein aansuon ne bain kiya
ya'ni meri hansi izafi hai
ye KHushi muskurahaTen raunaq
in dinon ye sabhi izafi hai
yar ye kya ki tere hote hue
mujh mein teri kami izafi hai
dard ajdad se mila hai kuchh
aur phir sha'iri izafi hai
bhul baiThe tujhe 'saba' ahbab
tu unhen waqa'i izafi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.