ek to nazron mein hai aur ek fitna sar mein hai
ek to nazron mein hai aur ek fitna sar mein hai
Basir Sultan Kazmi
MORE BYBasir Sultan Kazmi
ek to nazroñ meñ hai aur ek fitna sar meñ hai
ik adū bāhar hai merā ek dushman ghar meñ hai
bolne lag jaa.e ik zī-rūh kī mānind sang
qudrat-e-haq se bahut kuchh qudrat-e-āzar meñ hai
maiñ jahāñ gir jā.ūñ thak kar hai vahī lahnā mirā
ik tarah se merī manzil mere bāl-o-par meñ hai
leTtā huuñ to chipak jaatī hai kyoñ is se kamar
dekhtā huuñ jhaaḌ kar kyā ḳhāsiyyat bistar meñ hai
ḳhūb-tar kī aarzū kartā huuñ 'bāsir' is liye
chāhiye vo kuchh jo achchhe meñ nahīñ behtar meñ hai
ek to nazron mein hai aur ek fitna sar mein hai
ek adu bahar hai mera ek dushman ghar mein hai
bolne lag jae ek zi-ruh ki manind sang
qudrat-e-haq se bahut kuchh qudrat-e-azar mein hai
main jahan gir jaun thak kar hai wahi lahna mera
ek tarah se meri manzil mere baal-o-par mein hai
leTta hun to chipak jati hai kyon is se kamar
dekhta hun jhaD kar kya KHasiyyat bistar mein hai
KHub-tar ki aarzu karta hun 'basir' is liye
chahiye wo kuchh jo achchhe mein nahin behtar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.