ek to ye pagal barsat
ek to ye pāgal barsāt
is par hijr kī lambī raat
kashtī sāhil tak aa.ī
phir tūfāñ ne khaa.ī maat
zikr ḳhizāñ kā niklā thā
jā pahūñchī phūloñ tak baat
kaisī bahār aa.ī yaaro
peḌoñ par haiñ phuul na paat
sab ke chehre jhūTe haiñ
kis se karūñ maiñ jī kī baat
zahr ghulā hai dil meñ magar
hoñToñ par hai pyaar kī baat
ham to bahut badnām hue
kar ke 'sarosh' us shoḳh se baat
ek to ye pagal barsat
is par hijr ki lambi raat
kashti sahil tak aai
phir tufan ne khai mat
zikr KHizan ka nikla tha
ja pahunchi phulon tak baat
kaisi bahaar aai yaro
peDon par hain phul na pat
sab ke chehre jhuTe hain
kis se karun main ji ki baat
zahr ghula hai dil mein magar
honTon par hai pyar ki baat
hum to bahut badnam hue
kar ke 'sarosh' us shoKH se baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.