ek TuTi kaman rakhta hun
ek TuuTī kamān rakhtā huuñ
phir hathelī pe jaan rakhtā huuñ
munfarid apnī shaan rakhtā huuñ
ik balā kā gumān rakhtā huuñ
un ko un kī anā mubārak ho
maiñ bhī apnā jahān rakhtā huuñ
dair-o-masjid se huuñ agar vāqif
mai-kade kā bhī dhyān rakhtā huuñ
tarz-e-masnad hai ye zamīñ mujh ko
chhat ko ik āsmān rakhtā huuñ
der lagtī hai mujh ko girne meñ
saath meñ pāsbān rakhtā huuñ
merā bolā koī nahīñ bole
maiñ kahāñ ham-zabān rakhtā huuñ
teġh rakhtā huuñ maiñ qalam apnī
lek mīThī zabān rakhtā huuñ
ḳhuuñ diyā hai 'ḳhayāl' harfoñ ko
ab maiñ lafzoñ meñ jaan rakhtā huuñ
ek TuTi kaman rakhta hun
phir hatheli pe jaan rakhta hun
munfarid apni shan rakhta hun
ek bala ka guman rakhta hun
un ko un ki ana mubarak ho
main bhi apna jahan rakhta hun
dair-o-masjid se hun agar waqif
mai-kade ka bhi dhyan rakhta hun
tarz-e-masnad hai ye zamin mujh ko
chhat ko ek aasman rakhta hun
der lagti hai mujh ko girne mein
sath mein pasban rakhta hun
mera bola koi nahin bole
main kahan ham-zaban rakhta hun
tegh rakhta hun main qalam apni
lek miThi zaban rakhta hun
KHun diya hai 'KHayal' harfon ko
ab main lafzon mein jaan rakhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.