ek ujli dua ka saya hai
ek ujlī du'ā kā saaya hai
masjid-e-jāñ meñ kaun aaya hai
aane vaale dinoñ kī soch zarā
ye jo terā hai sab parāyā hai
zaḳhm detā hai sirf apnoñ ko
us ne bhī kyā mizāj paayā hai
vaqt ab kyā mutālbe haiñ tire
ham ne har qarz to chukāyā hai
haar kar tum se dil mohabbat meñ
āñsuoñ kā ḳharāj laayā hai
ham añdhere parakhne vāloñ ne
raushnī se fareb khāyā hai
dostī pyaar e'tibār 'anīs'
'umr bhar bas ye dhan kamāyā hai
ek ujli du'a ka saya hai
masjid-e-jaan mein kaun aaya hai
aane wale dinon ki soch zara
ye jo tera hai sab paraya hai
zaKHm deta hai sirf apnon ko
us ne bhi kya mizaj paya hai
waqt ab kya mutalbe hain tere
hum ne har qarz to chukaya hai
haar kar tum se dil mohabbat mein
aansuon ka KHaraj laya hai
hum andhere parakhne walon ne
raushni se fareb khaya hai
dosti pyar e'tibar 'anis'
'umr bhar bas ye dhan kamaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.