ek us ka tha wo aasra bhi nahin
ek us kā thā vo aasrā bhī nahīñ
mere shāmil ab us kī razā bhī nahīñ
hāthiyoñ kī hai yalġhār chāroñ taraf
aur abābīl kā kuchh pata bhī nahīñ
chāñd mere ishāre nahīñ jāntā
uñgliyoñ meñ mirī mo.ajiza bhī nahīñ
ġhaar tak aa chuke haiñ ta.āqub meñ sab
makḌiyoñ ne to jaalā bunā bhī nahīñ
'mashhadī' sar hathelī pe rakkhe rahe
apnī taqdīr meñ karbalā bhī nahīñ
ek us ka tha wo aasra bhi nahin
mere shamil ab us ki raza bhi nahin
hathiyon ki hai yalghaar chaaron taraf
aur ababil ka kuchh pata bhi nahin
chand mere ishaare nahin jaanta
ungliyon mein meri moajiza bhi nahin
ghaar tak aa chuke hain taaqub mein sab
makDiyon ne to jala buna bhi nahin
'mashhadi' sar hatheli pe rakkhe rahe
apni taqdir mein karbala bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.