ek wahshat hai rahguzaron mein
ek vahshat hai rahguzāroñ meñ
qāfile luT ga.e bahāroñ meñ
saaz ḳhāmosh aarzū bīmār
koī naġhma nahīñ hai tāroñ meñ
is taraf bhī nigāh-e-duzdīda
ham bhī haiñ zindagī ke māroñ meñ
ye to ik ittifāq hai varna
aap aur mere ġham-gusāroñ meñ
aadmī aadmī na ban paayā
bastiyāñ luT ga.iiñ ishāroñ meñ
dekh kar vaqt ke taġhayyur ko
chāñd sahmā huā hai tāroñ meñ
the kabhī rūh-e-anjuman 'shaukat'
ab to haiñ ajnabī se yāroñ meñ
ek wahshat hai rahguzaron mein
qafile luT gae bahaaron mein
saz KHamosh aarzu bimar
koi naghma nahin hai taron mein
is taraf bhi nigah-e-duzdida
hum bhi hain zindagi ke maron mein
ye to ek ittifaq hai warna
aap aur mere gham-gusaron mein
aadmi aadmi na ban paya
bastiyan luT gain ishaaron mein
dekh kar waqt ke taghayyur ko
chand sahma hua hai taron mein
the kabhi ruh-e-anjuman 'shaukat'
ab to hain ajnabi se yaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.