ek virani si chhai aap ke jaane ke baad
ek vīrānī sī chhā.ī aap ke jaane ke ba.ad
dil meñ hai vahshat samā.ī aap ke jaane ke ba.ad
din guzartā hī nahīñ aur raat bhī kaTtī nahīñ
jaan par merī ban aa.ī aap ke jaane ke ba.ad
ronā-dhonā kuchh na khānā aur jhiḌak kar bolnā
ham ne ye aadat banā.ī aap ke jaane ke ba.ad
dukh diye taklīf dī ḳhud ko malāmat bhī kiyā
ho ga.ī ḳhud se laḌā.ī aap ke jaane ke ba.ad
huuñ marīz-e-ishq mujh ko chain kuchh aatā nahīñ
be-asar hai har davā.ī aap ke jaane ke ba.ad
vahshat-e-sahrā bhī mujh ko dekh kar hairān hai
maiñ ne vo hālat banā.ī aap ke jaane ke ba.ad
ek dhokā hai mohabbat dostī bhī hai fareb
ye samajh meñ baat aa.ī aap ke jaane ke ba.ad
zau-fishāñ jugnū sitāre chāñdnī thī 'mehrbāñ'
phir kabhī vo shab na aa.ī aap ke jaane ke ba.ad
ek virani si chhai aap ke jaane ke baad
dil mein hai wahshat samai aap ke jaane ke baad
din guzarta hi nahin aur raat bhi kaTti nahin
jaan par meri ban aai aap ke jaane ke baad
rona-dhona kuchh na khana aur jhiDak kar bolna
hum ne ye aadat banai aap ke jaane ke baad
dukh diye taklif di KHud ko malamat bhi kiya
ho gai KHud se laDai aap ke jaane ke baad
hun mariz-e-ishq mujh ko chain kuchh aata nahin
be-asar hai har dawai aap ke jaane ke baad
wahshat-e-sahra bhi mujh ko dekh kar hairan hai
main ne wo haalat banai aap ke jaane ke baad
ek dhoka hai mohabbat dosti bhi hai fareb
ye samajh mein baat aai aap ke jaane ke baad
zau-fishan jugnu sitare chandni thi 'mehrban'
phir kabhi wo shab na aai aap ke jaane ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.