ek wo bhi waqt kya KHub rahe hain miyan
ek wo bhi waqt kya KHub rahe hain miyan
Muzammil Husain Cheema
MORE BYMuzammil Husain Cheema
ek vo bhī vaqt kyā ḳhuub rahe haiñ miyāñ
ḳhvāb ki ab āñkhoñ meñ Duub rahe haiñ miyāñ
aisā nahīñ hai faqat hijr kā charchā huā
vasl se bhī pahle mansūb rahe haiñ miyāñ
lafz tire husn kī tarah hasīñ lafz dost
shā.irī karne ko matlūb rahe haiñ miyāñ
hijr ke haamī to donoñ hī nahīñ the magar
vasl meñ bhī ham ki ma.ayūb rahe haiñ miyāñ
kis liye ham aisoñ kī tujh ko zarūrat nahīñ
pahle to ham aise mahbūb rahe haiñ miyāñ
ek wo bhi waqt kya KHub rahe hain miyan
KHwab ki ab aankhon mein Dub rahe hain miyan
aisa nahin hai faqat hijr ka charcha hua
wasl se bhi pahle mansub rahe hain miyan
lafz tere husn ki tarah hasin lafz dost
shairi karne ko matlub rahe hain miyan
hijr ke hami to donon hi nahin the magar
wasl mein bhi hum ki mayub rahe hain miyan
kis liye hum aison ki tujh ko zarurat nahin
pahle to hum aise mahbub rahe hain miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.