ek yusuf ke KHaridar hue hain hum log
ek yūsuf ke ḳharīdār hue haiñ ham log
phir mohabbat meñ giraftār hue haiñ ham log
chashm-e-rañgīñ kī karāmāt se ghāyal ho kar
terī ulfat ke talabgār hue haiñ ham log
shahr-e-ḳhūbāñ kī rivāyāt se shorish kar ke
ġham-e-hijrāñ ke sazā-vār hue haiñ ham log
zindagī tū ne hameñ dard ke aañsū baḳhshe
phir bhī tere hī taraf-dār hue haiñ ham log
sub.h-e-ālām kā chehra nahīñ dekhā jaatā
ḳhvāb-e-ḳhush-rañg se bedār hue haiñ ham log
manzil-e-ishq bhī ham ko hī milī hai 'āsif'
dasht-o-sahrā meñ agar ḳhvār hue haiñ ham log
ek yusuf ke KHaridar hue hain hum log
phir mohabbat mein giraftar hue hain hum log
chashm-e-rangin ki karamat se ghayal ho kar
teri ulfat ke talabgar hue hain hum log
shahr-e-KHuban ki riwayat se shorish kar ke
gham-e-hijran ke saza-war hue hain hum log
zindagi tu ne hamein dard ke aansu baKHshe
phir bhi tere hi taraf-dar hue hain hum log
subh-e-alam ka chehra nahin dekha jata
KHwab-e-KHush-rang se bedar hue hain hum log
manzil-e-ishq bhi hum ko hi mili hai 'asif'
dasht-o-sahra mein agar KHwar hue hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.