etibar-e-nazar karen kaise
etibār-e-nazar kareñ kaise
ham havā meñ basar kareñ kaise
tere ġham ke hazār pahlū haiñ
baat ham muḳhtasar kareñ kaise
ruḳh havā kā badaltā rahtā hai
gard ban kar safar kareñ kaise
ḳhud se aage qadam nahīñ jaatā
marhala dil kā sar kareñ kaise
saarī duniyā ko hai ḳhabar 'bāqī'
ḳhud ko apnī ḳhabar kareñ kaise
etibar-e-nazar karen kaise
hum hawa mein basar karen kaise
tere gham ke hazar pahlu hain
baat hum muKHtasar karen kaise
ruKH hawa ka badalta rahta hai
gard ban kar safar karen kaise
KHud se aage qadam nahin jata
marhala dil ka sar karen kaise
sari duniya ko hai KHabar 'baqi'
KHud ko apni KHabar karen kaise
- Book : Bar-e-Safar (Pg. 18)
- Author : Baqi Siddiqui
- Publication : Maktaba Urdu Daijest, Lahore (1969)
- Edition : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.