ewaz wafa ka jafa se sitam-shiar na de
ewaz wafa ka jafa se sitam-shiar na de
Haidar Husain Fiza Lucknowi
MORE BYHaidar Husain Fiza Lucknowi
evaz vafā kā jafā se sitam-shi.ār na de
sukūn gar nahīñ detā to intishār na de
tasalliyāñ mujhe be-kār ġham-gusār na de
na hogā fā.eda kuchh aarzī bahār na de
bahār kī hai talab mujh ko bāġhbāñ lekin
ḳhizāñ-nasīb jo ho vo mujhe bahār na de
nazar na aa.e mujhe jis meñ dost kī sūrat
tū aisā ā.ina-e-qalb kirdgār na de
talab hai garmī-e-pahlū-e-dost kī mujh ko
havā-e-sard na de mujh ko jūebār na de
havā-e-zulf se sab ko sukūn miltā hai
ye aur baat hai dil ko mire qarār na de
asīr-e-halqa-e-gesū karegā aalam ko
kisī hasīn ko allāh eqtidār na de
taḌap rahā huuñ maiñ aise ki jaise saañp Dase
ḳhudā kisī ko bhī saudā-e-zulf-e-yār na de
kisī ke dukh meñ na taḌpe jo dil vo dil hī nahīñ
jo zulm ko na miTā.e vo iḳhtiyār na de
zabān-e-ḳhalq ko naqqāra-e-ḳhudā na banā
burā.iyoñ kā kabhī apnī ishtihār na de
sunā hai un kī zabāñ par hamārā shikva hai
ḳhudā hamārī samā.at ko e.atibār na de
paḌe na dil se kahīñ un ke gard-e-ranj-o-alam
pata lahad kā uTh uTh kar unheñ ġhubār na de
'fazā' ko jalva-e-husn apnā ek baar dikhā
nazar ko lazzat-e-tauqīr-e-intizār na de
ewaz wafa ka jafa se sitam-shiar na de
sukun gar nahin deta to intishaar na de
tasalliyan mujhe be-kar gham-gusar na de
na hoga faeda kuchh aarzi bahaar na de
bahaar ki hai talab mujh ko baghban lekin
KHizan-nasib jo ho wo mujhe bahaar na de
nazar na aae mujhe jis mein dost ki surat
tu aisa aaina-e-qalb kirdgar na de
talab hai garmi-e-pahlu-e-dost ki mujh ko
hawa-e-sard na de mujh ko juebar na de
hawa-e-zulf se sab ko sukun milta hai
ye aur baat hai dil ko mere qarar na de
asir-e-halqa-e-gesu karega aalam ko
kisi hasin ko allah eqtidar na de
taDap raha hun main aise ki jaise sanp Dase
KHuda kisi ko bhi sauda-e-zulf-e-yar na de
kisi ke dukh mein na taDpe jo dil wo dil hi nahin
jo zulm ko na miTae wo iKHtiyar na de
zaban-e-KHalq ko naqqara-e-KHuda na bana
buraiyon ka kabhi apni ishtihaar na de
suna hai un ki zaban par hamara shikwa hai
KHuda hamari samaat ko eatibar na de
paDe na dil se kahin un ke gard-e-ranj-o-alam
pata lahad ka uTh uTh kar unhen ghubar na de
'faza' ko jalwa-e-husn apna ek bar dikha
nazar ko lazzat-e-tauqir-e-intizar na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.