faeda hum ko miTane se bhala kya nikla
fā.eda ham ko miTāne se bhalā kyā niklā
sar se saudā na gayā dil se na jazba niklā
be-maza aise hue talḳhī-e-hālāt se ham
shahd kā zā.iqa chakkhā to vo kaḌvā niklā
dost jitne the vo sab ho ga.e aapas meñ harīf
kaisī mahfil thī jo niklā vo akelā niklā
dil ke har TukḌe meñ mahfūz rahā aks tirā
aa.ina TuuT ke bhī ā.ina-ḳhāna niklā
sar-e-rāhe na sahī haañ sar-e-maqtal hī sahī
ġham se milne kā chalo kuchh to bahāna niklā
qahqahoñ kā jo samundar thā har ik mahfil meñ
ghar meñ vo shaḳhs udāsī kā jazīra niklā
chashm-e-ahbāb bhī nīchī hai to maiñ bhī nādim
jis kueñ meñ mujhe pheñkā thā vo andhā niklā
hāl-e-dil ḳhud hī kahā ḳhud hī sunā hai 'sāġhar'
har muḳhātab mirī taqdīr se bahrā niklā
faeda hum ko miTane se bhala kya nikla
sar se sauda na gaya dil se na jazba nikla
be-maza aise hue talKHi-e-haalat se hum
shahd ka zaiqa chakkha to wo kaDwa nikla
dost jitne the wo sab ho gae aapas mein harif
kaisi mahfil thi jo nikla wo akela nikla
dil ke har TukDe mein mahfuz raha aks tera
aaina TuT ke bhi aaina-KHana nikla
sar-e-rahe na sahi han sar-e-maqtal hi sahi
gham se milne ka chalo kuchh to bahana nikla
qahqahon ka jo samundar tha har ek mahfil mein
ghar mein wo shaKHs udasi ka jazira nikla
chashm-e-ahbab bhi nichi hai to main bhi nadim
jis kuen mein mujhe phenka tha wo andha nikla
haal-e-dil KHud hi kaha KHud hi suna hai 'saghar'
har muKHatab meri taqdir se bahra nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.