fani kahan hai hasti-e-fani ka shor bhi
faanī kahāñ hai hasti-e-fānī kā shor bhī
shāmil hai is meñ naql-e-makānī kā shor bhī
hassās huuñ aur is pe vo shiddat kī pyaas hai
suntā huuñ ab sarāb meñ paanī kā shor bhī
aisā sukūt thā ki sunā.ī diyā mujhe
harf-e-tahī meñ mauj-e-ma.ānī kā shor bhī
be-barg-o-bār peḌ se rahte haiñ duur duur
rah-gīr bhī havā-e-ḳhizānī kā shor bhī
ḳhākistar-e-badan meñ sulagtī hai koī chiiz
bujhtā nahīñ abhī ye javānī kā shor bhī
terī ġhazal paḌhī to ye jaanā 'rafīq'-rāz
paanī ke shor meñ hai ravānī kā shor bhī
fani kahan hai hasti-e-fani ka shor bhi
shamil hai is mein naql-e-makani ka shor bhi
hassas hun aur is pe wo shiddat ki pyas hai
sunta hun ab sarab mein pani ka shor bhi
aisa sukut tha ki sunai diya mujhe
harf-e-tahi mein mauj-e-maani ka shor bhi
be-barg-o-bar peD se rahte hain dur dur
rah-gir bhi hawa-e-KHizani ka shor bhi
KHakistar-e-badan mein sulagti hai koi chiz
bujhta nahin abhi ye jawani ka shor bhi
teri ghazal paDhi to ye jaana 'rafiq'-raaz
pani ke shor mein hai rawani ka shor bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.